Tuesday, October 24, 2006

Triveni

Triveni - a form of short poetry where the (vocal) meter should be maintained and the third line creates the effect that the first two lines refer to (but in an unobtrusive manner)!
 
Highly inspired by Gulzar's works - and posted under the Triveni thread on Gulzar community (Orkut) - these are some of the trivenis written by me -
 
 
1)
 
kashish chand lamhon ki dhadakti zumbish mein hoti hai
bekhud sangon ki beintehaa parashtish mein hoti hai

kabhi tum aao in lamhon mein, tumhe khuda kar dein...
 
****
2)
 
kitni sadiyon se apne hi hathon shikast khata raha
girte, toote lafzon mein apni kahani sunata raha

sadiyon ko lamhon se azaadi muft nahi milti....
*****
3)
 
mere kaatil ko meri maut ki saza na do
gam-e-furkat na sataaye, ye maza na do..

koi jalti hui shaama ko bujhaata kyon hai?
*****
4)
 
ishq wo kashmakash hai yaar mere
sadiyan lamhon mein guzar jaati hain..

aur wo aaine se dil lagaye baithe hain!!!
 
****
5)
 
fitna koi kehta hai, kaafir kahe koi
kehta hai koi manzil, musafir kahe koi

umr ki daraj mein tasveer hai adhoori
 
*****
6)
 
Mwafi mil gayee, nazaron se kuch baatein bhee kar li hain
humne unke tasavvur se fariyadein bhee kar li hain

dekhte hain chand se pehle chaand nikalta hai ki nahi..
 
****
7)
 
dua ko haath uthaya ki sar jhuka paaya
khud apni khwahishon ka arsh bhi ruka paaya

jab khuda the, khudai thee, juban pe lafz na the...
 
*****
8)
 
Ye azaadi hai ki ek jhootha sach
Ye khuli aankhon ka sunehra sapna bhee tha

Aur jaane kitne dhokhe kar gaya wo paarsaa....
 
****
9)
 
hazaar lashon ka manzar tha
hazaar asmaanon ki cheekh

Jalianwala aaj bhee zinda hai meri aahon mein
 
****
 

1 comment:

Pushpak said...

bahut khub janaab !!!